whatsapp ke bare mein jaane....


     Whatsapp

Hello Friends, Dosto Aaj Hum Baat Karenge Whatsap Ki Jo Aaj Kal Har Kisi Ke Android Phone Par Mil Jata Hai. Or Dosto Whatsapp Ko Use Karna Bhi Bahut Asaan Hai. Or Yeh Chatting Ke Liye Bahut Hi Achha Apps Hai. Jisme Or Bhi Kai Tarah Ke Feature Hai. 


Whatsapp Ka Avishkar:  Dosto Whatsapp Ka Avishkar Jan Koum Or Brian Acton. Ne 2009 Ko Kiya Tha. Ye Dono Pehle Yahoo Mein Kaam Karte The, Par Dono Waha Se Hat Gye. Waha Se Hatne Ke Baad In Dono Ne Facebook Mein Kaam Karne Ke Liye Avaidan Bhi Kiya Par In Dono Ko Waha Par Nahi Rakha.


 Iske Baad Wo Apne Ek Russi Dost Alex Fishman Ke Paas Gye, Or Onhone Ek Apni Application Banana Ke Bare Mein Soch Liya. But Jo Yojna Wo Banane Ke Bare Mein Soch Rahe The Wo Bina Iphone Developer Ke Puri Nahi Ho Sakti Thi. Oske Liye Fishman Ne Ek Russi Developer Dhonda.


 Or Iske Baad On Hone Ek Application Banai. Jan Koum Ne Is Application Ka Naam Rojana Mein Paryog Kiye Jane Wale Shabad "What"S Up" Ke Opar Yaani Whatsapp Rakha. Shuru Shuru Mein Whatsapp Kuch Jagah Par Nahi Chala. Or Crash Ho Gya.


Kaam Band Karne Ka Vichar: Jab Whatsapp Kai Jagah Par Crash Ho Gya To Koum Ne Socha Ki Ab Is Application Ko Band Kar Dena Chahiye. Or Kahi Job Lag Jana Chahiye. Par Brian Acton Ne Onka Hosla Badaya Or Fir Se Oske Opar Ek Baar Kam Karne Ko Bola. Jon Koum Oski Baat Man Gye Or Fir Se Os Application Ke Opar Kaam Karne Lage.


Whatsapp Mein Badlav: June 2009 Mein Apple Ne Push Notification Shuru Ki Jisko Dekh Kar Koum Ne Bhi Whatsapp Mein Kuch Badlav Kiye. Ab Whatsapp Mein Agar Koi Apna Status Chang Karta To Oske Network Ke Hare K Contact Ko Iske Bare Mein Pata Chal Jata. Or Notification Mil Jayega. Dec 2009 Mein Whatsapp Mein Photo Share Karne Ki Savaye Shuru Ki Gai. Or 2011 Mein Whatsapp Bahut Jayada Mashhor Ho Gya.



Dosto Aaj Jon Koum Company Ke CEO Hai. Or Jon Koum Ke Paas Cpmpany Ki 85 % Hisedaari Hai. 2013 Mein Whatsapp Ko 200 Crore Se Bhi Jayada Logo Ne Paryog Kiya Tha. Or 2014 Aate Aate Ye Sankhiya 500 Crore Ho Gai. Isme Har Roj 700 Crore Picture Or 100 Crore Video Ek Dosre Ko Bheji Jati Hai.


Jan Koum Ne Ek Baar Twitter Se Ye Baat Batai Thi Ki, Whatsapp Mein 600 Crore Se Bhi Jayada User Hai. Or Har Roj Isme 25 Crore New User Add Hote Hai. Koum Ne 2015 Mein Ek Application Or Banai Jiske Dara Log Whatsapp Web Ke Sahare Apne Computer Ya Laptop Par Bhi Whatspp Ko Chala Sakte The.


Whatsapp Ki Kuch Or Rochak Baate
vDosto Whatsapp Ko Sab Se Jayada India Mein Use Kiya Jaata Hai.
vWhatsapp Panchvi Aisi Application Hai Jisko Sab Se Jaada Use Kiya Jata Hai.
vWhatsapp Ka Paryog 53 Language Mein Kiya Jata Hai.
vWhatsapp Mein Sirf 53 Engineer Kam Karte Hai.
vWhatsapp Mein 100 Crore Se Jayada Group Hai.
vAisa Bhi Mana Jata Hai Ki Whatsapp Or Skype Ki Wajah Se Dosri Companies Ko Har Saal Bahut Nuksaan Hota Hai.
vFacebook Ne Whatsapp Ko 1182 Crore Mein Kharid Liya Hai Jo Aaj Tak Ki Sab Se Mahngi Deal Hai.
Dosto Agar Apko Yeh Post Achhi Lagi Ho To
Please Like And Share Karen. And Comment Jarur Karen. Apka Dost
Sunil Negi




Comments