MAUT EK SACHAI.....

Maut ek sachai hai jisko koi nahi manta.
or
zindgi ek jhoth hai jisko sab mante hai.


dosto mera naam hai sunil negi. dosto har kisi ki life me ek na ek din maut jarur aani hai. chahe pehle ya chahe baad me. Par har kisi ne ye duniya chhod kar jana hai is dharti se. maut ek eaisa naam jisko sonkar har koi san reh jata hai. ki kahi osko kuch na ho jaye. Ye maut hame is duniya se otha kar dusri duniya par le kar jati hai. or wo duniya hum jite jeet kabhi nahi dekh sakte. Os duniya ko dekhne ke liye humko apna ye sharir chhodna parega. Tabhi hum jaan payenge ki is duniya ke os paar kya hai. dosto ye duniya jisme hum rehte hai. esi hi duniya na.


jaane os sormandal par kitne hai. or na jane hum jese log bhi kahi na kahi honge. Kisi or duniya par.
 Dosto abhi tak humne yeh hi sona hai ki maut ke baad insan bas khatam ho jaata hai. or fir kabhi bhi is duniya par nahi ata. Par kya pata maut ke baad insan kisi or hi duniya par chala jata ho jaha wo zinda ho. Or ji rahen ho onki duniya par.


Shayad waha ki duniya is duniya se behtar ho. Dosto hum sab bhagwan par vishwas rekhte hai. or mante hai ki jese hum karam karenge wesa hi fal hame milega. Or maut ke baad bhi hame saja milegi. Os bhagwan ke ghar par. Jese jese humne karam kiye ho.


 Par kya pata dosto bhagwan har kisi ko or mauke deta ho, apni zindgi ko ek baar fir se behtreen banane ka. Par os duniya par nahi jaha hum pehle rehe ho, balki os duniya par jo maut ke baad mile. Kya pata wo duniya humse na jane kitni aage ho. 


 Waha ke log, waha ki bhasha, waha ka mahol. Sab kya pata alag ho. Jab koi apne is duniya se chala jata Hai. tab har koi rota hai oske liye. Ki kash wo humko chhod kar na jata. Hamare sath hi rehta. Par hum ye nahi jante ki wo is duniya se kaha jaa raha hai. to dosto jana har kisi ne hai is duniya se. par iska matlab yeh bhi nahi hai ki, hum apni life ko khatam hi kare le. Dosto agar bhagwan ne humko is duniya par bheja hai to  jine ke liye hi bheja hai, or apni puri life me ache karam karne ko bheja hai.



 kai log bas bure kaam hi karte rehte hai ki chalo kuch nahi hota marna hi hai, to karte raho galat kaam. Par dosto bhagwan bhi apko baar baar mauka nahi dega, yeh baat hamesha yaad rakhna. Zindgi ko jiye ese ki apke jine se kisi ko koi dukh na ho. Or agar ap is duniya se os duniya par jao to ek acha insan ban kar jao. Taki waha ki duniya ke insan apka ache se sawagat kar saken. Dosto.
jite raho jab tak zindgi hai.
khush raho jab tak zindgi hai.
or khush rakho sabko jab tak zindgi hai.
mere post ko parne ke liye apka bahut shukriya. Or agar achha lage to like or share jarur kijiye.   Apka dost,
sunil negi.  

Comments