google ke bare mein jaane....



GOOGLE
Larry Page And Sergey Brin

Dosto Aaj Hum Baat Karenge Google Ki. Dosto Aaj Ke Time Mein Hum Sabhi Ne Kabhi Na Kabhi Google Ka Use Jarur Kiya Hoga. Jab Bhi Humko Kisi Chij Ke Bare Mein Janna Hota Hai To Hum Sab Se Pehle Google Mein Ja Kar Hi Dekhte Hai. Jaha Humko Os Chij Ke Bare Mein Pata Lag Jata Hai. To Dosto Jis Google Mein Hum Search Karte Hai Oska Headquarter Mountain View California Mein Hai. Jisko Googleplex Kaha Jata Hai.

Google Ko Kisne Banaya. September 4 1998 Mein America & Soviet Ke Computer Scientist Larry Page & Sergey Brin Ne Google Ko Banaya Tha.


Freedom And Facilities. Dosto Yaha Par Staff Ko Kafi Azaadi Or Facilities Di Jati Hai. Dosto Yaha Par Free Mein Khana, Exercise, Gym, Musical Instrument , Video Games, Or Bhi Kafi Tarah Ki Facilities Di Jati Hai. Dosto Yaha Par Har Ek Staff Ko Jayada Kaam Ka Bhoj Nahi Diya Jata Balki Onko Comfortable Feel Karaya Jata Hai.


Googlers And Nooglers. Waha Par Google Ke Staffs Ko Googlers Kaha Jata Hai. Or Dosto Jo Staff New Lagta Hai Osko Waha Par Nooglers Kaha Jata Hai. Jab Bhi Koi New Staff Waha Ata Hai To Osko Waha Ki Paramparik  Colour Ki Ek Cap Di Jati Hai. Jiske Opar Helicopter Ke Paro Jaise Par Hote Hai. Is Cap Ko Beanie Propeller Kaha Jata Hai.


Google Ki Kamai. Dosto Google Ki Jo Kamai Hai. Wo Google Ke Program Adwords Se Hoti Hai. Jo Ki Advertisement Ka Kaam Karta Hai. Friends Yeh Ek Second Mein 9,30,000 Ke Karib Ki Kamai Kar Leta Hai. Or Dosto Iski Duniya Bhar Mein Lagbhag 40 Country Mein 80 Se Bhi Jayada Office Hai.


Doodles. Dosto Jaisa Ki Hum Sab Jante Hi Hai. Ki Jab Bhi Koi Khaas Avsar Hota Hai. To Google Apne Naam Wale Logo Ko Oske Hisaab Se Doodles Banata Hai. Jaise Jab 15 Augest Wale Din Google Ne Doodles Banaya Tha Or Osko Bharat Ki Website Par Lagaya Tha.


Google Ko Baichne Ka Socha. Dosto Ek Waqt Aisa Bhi Aya Jab 1999 Mein Google Ko Aisa Laga Ki Google Onka Bahut Jayada Time Le Raha Hai. Or Is Se Onki Educational Activity Parbhavit Ho Rahi Ha. To Onhone Google Ko Bechne Ka Socha Or Exit Ke Chairman Jori Bill Ko 10 Lakh Dolour Ke Badle Google Ko Bechne Ka Parstaav Rakha. Magar Bill Ne Is Ko Thokra Diya.


Google Ki Taraki. Par Dosto Iske Kuch Hi Dino Ke Baad. June 1999 Ko Bade Investors Or Do Venture Capital Financing Ki Taraf Se Google Ke Liye 25 Million Dollars Ki Investing Ka Elaan Kiya Gya. Or Dosto Iske Baad Google Ne Aisi Taraki Ki. Ke Jo Company Pehle Bik Rahi Thi Ab Wo Dosri Companies Ko Kharidne Lagi Hai.




Dosto Jayad Tar Badi Companies Apne Se Chhoti Companies Ko Kharidne Ki Koshish Karte Hai. Google Ne Bhi Aisa Hi Kiya Or Abhi Tak Google Lagbhag Daid So Companies Ya Oski Banai Hoi Chijo Ko Apne Andar Merge Kar Chukka Hai. dosto agar apko yeh post acha laga ho to.
Please Like And Share My Post. Apka Dost
Sunil Negi.









Comments